मृत्यु महोत्सव

भोपाल के ड़ॉ. एस. के. जैन का निधन हुआ ।

ड़ॉ. जैन ने असहायों की सहायता, अपनी तथा समाज की सीमाओं के बाहर जाकर भी की ।

उनकी भावनाओं से प्रेरित होकर उनके पुत्र ने –

  • नेत्र दान कराया
  • खूब दान दिया
  • गरीबों को भोजन कराया
  • वृक्षारोपण किया

Share this on...

8 Responses

  1. Tauji hamesha hamare liye ek aise vyaktitva ke roop main jeevit rahenge jo ki prem ki pratimurti the,
    jo bhi unke aas paas raha, unke pyaar se vanchit nahin raha, chahain veh parivaar ka sadasya ho ya baahar ka.
    Hridya ke to ve bahut hi udaar the, har ek jarooratmand ki sahayta karne main unhain vishesh aanand ki praapti hoti.
    Hum bhi unke sanskaaron ko aage le jaane ka poora prayatna karenge.
    Shraddhanjali- Sinnu

  2. Mamaji ki yaad hamesha hamare saath rahegi.
    Mujhe toh unke jane ke bad pata chala ki unhone meri jaan tab bachayi thi jab woh medical ki padhai kar hi rahe thhey.
    Unki suljhi hui soch hum sabke liye preranastrot hai.
    Hamari taraf se unko bhavpurna shraddhanjali

  3. Sneh ke pratimurti the hamare chachaji !.
    Ashcharya hota tha jab wo auro se bhi hamare jitna pyar karte the.
    Shanti se har problem ko solve kar dete the.
    Un jase daan, sneh, seva v shanti ke bhav hum apne andar la sake to yahi hamari sacchi shradhanjali hogi.
    Jai Jinendra.

  4. Dr. Satender Jain ke nidhan par……….
    Hamari hardik samvednaye jain parivar ke sath hain.
    Jarurat mand ki sahaita karna Jain bhaiyon ka parivarik gun hai.
    Jahan tak main janta hoon Sh.Jain ne apne parivar ke liye ek fund sthapit kiya hai, jisse jarurat padne par sahaita ho jaye aur kise par bhi boojh na pade.
    Satender ji to swayam Dr. the aur dardi ki sewa sahaita karna unka swabhav tha. Kisi jaroort mand ki sahaita kar dene ka sukh anubhav karne ki vastu hai, vyakt nahi ki ja sakti.
    Ram Ravan yudh ke bad bhagvan Ram Ayodhaya ke raja bane, to unhone un sab ko puraskrit kiya jinhone unki sahaita ki thi. Jaise Vibhishan ko Lanka ka raja bana diya. Jab Hanuman ji ki bari aye to Ram ji bole Hanuman mein tumhare rin se rinmukt nahi hona chahata kyounki tumhare dwara ki gaye sahaita ko mein bhoolna nahi chahata.

    ”TUM MUM PRIY BHARAT SAM BHAI”

  5. मामाजी के जीवन मूल्यों के अनुरूप उनके पार्थिव शरीर से दो नेत्रहीनों को दृष्टि का अमूल्य वरदान मिल सका, यह परिवार के लिए गौरव का विषय है।
    हमें इस परंपरा को आगे बढ़ाना है।
    हमारे मृत शरीर के अन्य अवयव भी औरों के काम आ सकते हैं।

    कमल कान्त

  6. Mamaji ne aajeevan sabko sukh baanta aur apne nidhan ke bad bhi unhone do vayaktiyon ko netra daan dekar is parampara ko jeewit rakha.
    Ham sabko unse prerna lekar apni mrityu ka baad netra daan ka sankalp lena chahiye.
    Mera aatmiya janon se yah anurodh rahega ki meri mrityu ke baad mere netron ka daan avashya karen.
    Gopesh

  7. Tauji ke bare me bolne ke liye shabdh nahin hain mere paas.
    Bas unki jaisi logon ko pyar aur unki help karne ki quality mere main bhi aa jaye, yahi ashirwad mujhe mile.

  8. पापाजी के जाने के बाद उनका एक संस्मरण याद आ रहा है –
    उनके मित्र लोग जहाँ मिलते थे, वहाँ एक गरीब सेवा करता था पर उसकी आदतें ख़राब थीं – सबसे पैसा उधार लेता था पर लौटाता नहीं था ।
    एक दिन वह रो रहा था ।
    पापाजी के पूछने पर उसने बताया –
    “माँ नहीं रही”
    जाता क्यों नहीं है ?
    पैसे नहीं है ।
    पापाजी पर भी उस समय पैसे नहीं थे, पापाजी ने मित्रों के साथ एक खेल खेला, जिसकी कमाई से पार्टी होना तय हुआ । पैसे जमा होने पर पापाजी ने उस लड़के को इशारा किया और वो खाना लाने के बहाने वह पैसा लेकर भाग गया ।
    मित्रों के पूछने पर पापाजी ने बताया मेरे पास उसे देने के लिये पैसे नहीं थे और तुम लोग उसे देते नहीं, सो मुझे ऐसा करना पड़ा ।

    गलत व्यक्ति को, गलत तरीके से तथा गलत पैसा देकर सहायता करना शायद हम जैसे साधारण व्यक्ति का काम नहीं ।

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This question is for testing whether you are a human visitor and to prevent automated spam submissions. *Captcha loading...

Archives

Archives
Recent Comments

March 9, 2013

December 2024
M T W T F S S
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
3031